Menu

Printfriendly

दुनिया चले ना/ Duniya chale na












Duniya chale na shri ram ke bina

Duniya chale na shri ram ke bina, Ramji chale na hanuman ke bina
Jab se ramayan padh le hai, Ek baat maine samaj le hai
Ravan mare na shri ram ke bina, Lanka jale na hanuman ke bina.
Duniya chale na shri ram ke bina, Ramji chale na hanuman ke bina

Lakshman ka bachna mushkil tha, Kaun buti lane ke kabil tha
Lakshman bache na shri raam ke bina, Buti mile na hanuman ke bina
Duniya chale na shri ram ke bina, Ramji chale na hanuman ke bina

Sita haran ki kahani suno, Banwari meri zubani suno
Vapas mile na shri raam ke bina, Pata chale na hanuman k bina
Duniya chale na shri ram ke bina, Ramji chale na hanuman ke bina

Baithe shinghasan par shri raamji, Charno mai baithe hai hanuman ji
Mukti mile na shri raam ke bina, Bhakti mile na hanuman ke bina, 
Duniya chale na shri ram ke bina, Ramji chale na hanuman ke bina